Monday, July 9, 2012

Ap K Naam Ik Ghazal.......

Mujhay Iss Zindgani Se Koi Shikwa Nahi Lekin

Zara Si Be Sakooni Hay

Na Janay Kiun Mery Dil Mein
Ajab Ik Khauf Rehta Hay
Mujhay Mehsoos Hota Hay
K Mery Dil K Darwazey Pe
Teri Yaad Ki Dastak Mein Vo Shiddat Nahi Baqi

Saturday, June 23, 2012

Payar Kia Hai.......!


Pyar pehli baarish ki boondon main hai
Pyar khilte phoolon ki khushboo main hai
Pyar dhalte sooraj ki kirano main hai
Pyar har naye din ki umeed hai
Pyar khwaab hai,Pyar jeet hai
Pyar pyaar hai,Pyar geet hai
Pyar do jahano ka sangeet hai
Pyar har khushi,Pyar zindagi
Pyar tishnagi,Pyar bandagi hai
Pyar sang chalty hawaon main hai
Pyar in barasti ghataon main hai
Pyar doston ki wafaon main hai
haath uttha ke jo maangi gayi hai dua
Pyar ka asar un duaon main hai.........
Payar Akhir Payar, Alfaaz Ki Kami Hai Bayan Kerne K Lyeeee

Sunday, June 10, 2012

♥♥! True love is like
A Boy playing Carrom Always afraid of losing his queen.
And
A girl playing chess risking everything just 2 protect her king !♥♥!

Saturday, June 9, 2012

Ishq or Aqal

Ishq

Ishq aur Aqal Mein Azal se Tasadum hai.........
Aqal Jahan Pe Ruk Jati Hai,
Aqal Jahan Ghutne Tek Deti Hai,
Ishq Wahan Se Shuru Hota Hai.....
Aur Ishq Har Namumkin Ko Mumkin Kerta Hai.....

Aqal Kehti Hai, Nazar Jhuka K Rakh,
Ishq Kehta Hai Ankhon Mein Ankhein Daal k Dekh,

Aqal Kehti Hai Sab Kuch Bacha K Rakh...
Ishq Kehta Hai Sab Kuch Luta K Dekh,

Aqal Kehti Hai Dunia Beri Hojyegi....
Ishq Kehta Hai, Yeh Ber Chala K Dekh

Ishq To Wo Jazba Hai Jo Solhi Pe Charha Deta Hai..
Log Mehboob K Hath Choomne na De
Ishq Kutton K Paer Chuma Deta Hai....
Ishq Thal Ki Jalti Ret Mein Ghuma Deta Hai
Ishq Jungle Ke Bellay Mein Rula Deta Hai
Ishq Aag Ka Darya B Paar Kara Deta Hai.....

Jis Ko Lagay Wo Janay.........Ishq kis Jazbay Ka Naam Hai.

Saturday, March 10, 2012

Ishq -e-Majazi aur Ishq-e-Haqiqi

Ashfaq Ahmad Likhte Hain

"Mujhe boht justju thi k Ishq-e-Majazi aur Ishq-e-Haqeeqi ka farq jaan sakun, 1 din abaa jee ne bataya ke..........
'Ashfaq Apni Anaa ko kisi shakas k samne pamaal kerne ka naam Ishq-e-Majazi hai, aur apni anaa ko sab ke samne pamaal kerne ka naam ishq-e-Haqeeqi hai."

Wednesday, March 7, 2012

Khamosh Muhabbat

Bare Bazurg Kehte Hain ke Muhabbat aur Adawat Kabhi Posheeda nahi rehti.........
Mager Iss Dharti pe boht se Aise Logon ka Basera b hai jin ki Muhabbatein Adhuri hain........Tanhayein Jin ka Muqadar Ban chuki hain.......Jinhein apne Mehboob ki rafaqat, un ka sang kabhi naseeb nae hota.........
Jo Dusron ke Naam pe apni Gumnaam Zindgi Basar ker dete hain...........Un ke her gham ko Dil se laga ke rakhte hain aur her Zulm o Sitam Dil se hans ker sehte hain mager kabhi aahein nae bharte..........
Aise Log kabhi apni Muhabbaton ka sila nae mangte, Na apne Dukh, Rog kisi pe ashkara kerte hain, Kabhi kisi k samne apni qismat ka rona nahi rotay.......
Na jane inki Rooh mein kitne shagaaf hotay hain mager phir b logon se hansi khushi milte hain aur waqt ko dhoka dete rehte hain...........
Aur phir 1 din Khamosh Muhabbat ka Pehr Labon per liye iss dar-e-Fani se kooch ker jatay hain............