Saturday, March 10, 2012

Ishq -e-Majazi aur Ishq-e-Haqiqi

Ashfaq Ahmad Likhte Hain

"Mujhe boht justju thi k Ishq-e-Majazi aur Ishq-e-Haqeeqi ka farq jaan sakun, 1 din abaa jee ne bataya ke..........
'Ashfaq Apni Anaa ko kisi shakas k samne pamaal kerne ka naam Ishq-e-Majazi hai, aur apni anaa ko sab ke samne pamaal kerne ka naam ishq-e-Haqeeqi hai."

Wednesday, March 7, 2012

Khamosh Muhabbat

Bare Bazurg Kehte Hain ke Muhabbat aur Adawat Kabhi Posheeda nahi rehti.........
Mager Iss Dharti pe boht se Aise Logon ka Basera b hai jin ki Muhabbatein Adhuri hain........Tanhayein Jin ka Muqadar Ban chuki hain.......Jinhein apne Mehboob ki rafaqat, un ka sang kabhi naseeb nae hota.........
Jo Dusron ke Naam pe apni Gumnaam Zindgi Basar ker dete hain...........Un ke her gham ko Dil se laga ke rakhte hain aur her Zulm o Sitam Dil se hans ker sehte hain mager kabhi aahein nae bharte..........
Aise Log kabhi apni Muhabbaton ka sila nae mangte, Na apne Dukh, Rog kisi pe ashkara kerte hain, Kabhi kisi k samne apni qismat ka rona nahi rotay.......
Na jane inki Rooh mein kitne shagaaf hotay hain mager phir b logon se hansi khushi milte hain aur waqt ko dhoka dete rehte hain...........
Aur phir 1 din Khamosh Muhabbat ka Pehr Labon per liye iss dar-e-Fani se kooch ker jatay hain............