Friday, November 25, 2011

Sacha Payar Kia Hai by Saher Hussain Paracha.........!


Sacha Payar to Uss sayay (Ghost) ki tarha hota hai.............Jis ke baray mein Suna Sab ne hai..........Mager dekha sirf Chand Dil Walo'n ne hai.......

Sacha Payar to Wo Rishta hai Ke Lakh durian be hoon, Mager Jab dusre ko zara c takleef b ho to Ap ko sari Kainaat mein udaasi nazar aane lagay......

Sacha Payar to Hath ki un lakeero'n ki tarha hai......Jo kat to sakti hain mager Kabhi badal nae saktein...........

Sacha Payar kisi mukammal insan se rishtay ka naam nae hai, Yeh to uss rishtay ka naam hai ke 1 na mukamal insan ko apnaa ke mukammal kerdiya jaye.........

Sacha Payar Sirf 1 baar apki zindgi mein dastak deta hai, Darwaza khul gya to ap Khush Qismat, Ager na Khula to Dokhay Faraeib to Uss waqt tak nae jatay jab tak derwaza khul na jaye...........


Sacha Payar.............Sacha Payar to 1 aisa rishta hai jece,
Phool ka Khushboo se, Ke Murjha to jayega mager khushboo ka sath nae chorega.............
Chand ka Samander ki Lehron se, Ke jab wo aasman per chamkta hai to samander ki lahrein uss ki taraf lapkti hain aur chand chup jaye to lehrein be dum tor jati hain mager suraj ki taraf nahi lapkti.............
Koyal ka Bahar se, ke bahaar mein wo khoob gungunati hai mager jab bahar usay chor jati hai to wo saktay mein ajati hai mager khizaan se dosti nae kerti..........
Machli ka Pani se, K wo pani se juda ho ke 1 pal be nahi zinda rehti.......




Sacha Payar........!
Aksar Hum suntay hain ke Koi Kisi se sacha payar kerta hai.........
Mager phir kuch arsay baad pata chalta hai ke un ka breakup hogya hai.......
Ager Apki Nazar mein yeh Sacha Payar hai to Mujhe Maaf kerna Mein Iss rishtay ko Payar nai Sirf Dil Lagi ka naam dungi.........k Jab tak koi hamari khwahishat pe pura uterta hai to Hum uss se Sacha Payar ka naam dete hain, aur ager zara c khwahish puri na hue to hum usay dhokay fareib ka naam de dete hain.............!
Yeh Payar nae Sauday Baazi hai.........!
kion ke Sacha payar to dokhay, fareib se paak hota hai, Payar kabhi nae merta, mager hum to 1 pal mein choti c ghalti per saray rishtay natay toor dete hain, to kia hum issay sacha payar keh sakte hain...........Nahi, Kabi Nahi, Ager ap phir b issay sacha payar hi kahogay to maaf kerna ap kisi zaati gharz ki bina per yeh sab keh rahe ho.........






1 comment:

homi aur woh said...

nice g kya bat hai apki wah wah